What is Google Analytics in Hindi : Agar aapke pass blog ya website hai aur aap ne naya naya seo learn karna start kiya hai to aapne google analytics ka naam suna hoga. har ek web master ke liye tool bahut important tool hai aur is ki help se hamare bahot sare kaam asan ho jate hai.
Har ek new blogger aur website owner ke man me ye question jaroor aate hai.
1. Mere website ki traffic kitne hai ?
2. Bounce Rate kya hai aur use kaise check kare ?
3. Site pe daily kitne page views aate hai ?
4. Website pe ane wali traffic ka source kya hai ?
5. Blog ke landing page kon se hai aur exit pages kon kon se hai ?
6. Visitor Website pe average kitna time spend karte hai ?
In sabhi question ka answer aapko google analytics ke dwara asani se mil sakta hai.
Is post me ham –
1. Google Analytics Kya Hai ? ( What is google analytics )
2. Google Analytics Ke Features Kya Kya Hai ? ( Google analytics’s features )
3. Google Analytics Account Setup Kaise Kare? ( How to Set Up a Google Analytics Account )
4. Website Ko Google Analytics Ke Sath Connect Kaise Kare ?
4. Google Analytics Ke Code Apni Site Par Kaise Add Kare ?
Uske bare me detail me janenge. sabse pahle jante hai google analytics kya hai aur har ek blogger aur website owner ke liye kyun important hai.
Google Analytics Ke Bare Me Jankari Hindi Me
Google Analytics ek free tool hai, jo aapki website or blog pe ane wale visitor ka bahut data collect karta hai aur uske report bana kar aapke samne pesh karta hai jise koi bhi asani se samaj sake.
Google Analytics google ka free product hai, jise use karne ke liye aapke pass google account hona chahiye. aur apni website ke visitor ka data collect karne ke liye aapko sirf ek javascript code apni website pe lagana padta hai.
Google Analytics Se Aap Website Kon Kon Si Jankari Prapt Kar Sakte Hai
1. New Visitor And Returning Visitor Ki Jankari
2. Page Views
3. Bounce Rate
4. Website Seasons
5. Average Seasons Duration
6. Real Time Visitor Reports
7. Website Ki Traffic Ke Source Ki Jankari
8. Visitors Ki Geographic Jankari
9. Website Pe Ane Wali Refferal Traffic Ki Jankari
10. Landing Page Aur Exit Page Ki Jankari
11. Site Ki Speed
12. Google Adsense Earning Reports Par Page
13. User Ke Browser Aur Device Ke Rolution Size Ki Jankari
Ye kuch main things hai jiski jankari aap google analytics se prapt kar sakte hai, iske alawa google analytics ke kon kon se features hai uske bare me jankari.
Google Analytics Ke Features Ki Jankari Hindi Me
1. Google Analytics Ek Complete Website Reporting Tool Hai Aur ek dum free hai.
2. Apni aavshyakta ke hisab se report aur deshboard create kar sakte hai.
3. Real Time Reporting se aap apni website pe ane wali traffic ko live dekh sakte ho.
4. Agar website down ho jati hai to aap ko apni reports se pata chal sakta hai.
5. Ecommerce site ke bahot sare options aur features se jo aapke liye bahot helpful sabit honge.
6. Website ke seo ke bahot important kaam jaise ki bounce rate aur exit pages ki jankari asani se prapt kar sakte hai.
7. Report ko apne computer me save kar sakte hai.
8. Google Analytics Mobile App ki help se aap apne sare reports apne andorid aur ios smart phone pe access kar sakte ho.
Google Analytics Account Setup Kaise Kare Puri Jankari Hindi Me
Step 2 : Ab Start using Google Analytics me Sign Up par click kare.
Step 3 : Ab ek form open hoga, jisme aap is tarah se mahiti enter kare.
1. Account Name : Website ka name yahan par type kare. ex… Pro Blog Hindi
2. Website Name : Phir se website ka name type kare.
3. Website URL : isme website url type kare. http aur https options ka dhyan rakhe. ex. www.probloghindi.com
4. Industry Category : Apni website ki category select kare.
5. Reporting Time Zone : Apni Country aur time zone select kare.
Step 4 : Ab Get Tracking ID par click kare.
Step 5 : Ab Google Analytics Terms of Service ko padh kar I Accept par click kare.
Step 6 : Ab aapki screen par ek Tracking Code open hoga. jise copy karke aap apni website ke <head> section me ya kahi bhi paste kar de.
Website Tracking Codes ko apni site pe lagane ke baad aap ki site par google analytics active ho jayega.
Google Analytics ke codes sahi tarike se kaam rahe hai ki nahi ye check karne ke liye apni site web browser me open kare. aur Google Analytics ke Real TIme Section me check kar sakte hai.
Google Analytics Kya Hai – Google Analytics Par Account Kaise Banaye is Google Analytics Tutorial in Hindi ko pura padhne ke liye aapka dhanyawad. Blogging Aur Seo se related koi bhi question aap niche comment section me puch sakte hai. agar ye post helpful lage to use share karna na bhule.
Leave a Reply