[10 Best] Online Jobs For Students in India Without Investment 2022

Online Jobs From Home For Students :  Agar aap student hai, aur internet par kuch work karke apni pocket money ya extra income karna chahte hai to aap online part time jobs karke paise kama sakte ho. 

Internet par agar aap ‘part time jobs near me‘ aisa search karoge to aapko bahot sare ads dikhenge, aur bahot sari websites ye dava karte hai ki aap unse paise kama sakte ho, lekin un me se bahot sari websites fake hoti hai, jinka makshad sirf aapse paise lootna hi hota hai. 

onlnie jobs for students,online jobs from home for students,online part time jobs for students,online jobs for collage student at home
Best Online Jobs For Students in India Without Investment

Agar aap sach me genuine tarike se earing karna chahte hai to aapko sahi websites ka pata hona bahot jaroori hai, warna sirf aapka time aur money barbad hoga.

To isliye aap agar online jobs for collage student at home karke paise kamana chahte hai to is post ko pura padhe. is post me ham aapko aise online jobs from home for students batayenge, jinse aap apne extra time me bahot sare paise kama sake. 

Best Ways To Students To Earn Money Online

Aaj ham aise online jobs for students without investment ke bare me baat karenge jinse aap bina kuch paise lagaye apni mehnat aur skills se paise kama sakte ho. 

Pahle ke samay ke mukable ab india me students ke liye online paise kamane ke bahot sare vikalp maujud hai. aap niche diye gaye student ke liye paise kamane ke best tariko se apni earning start kar sakte ho. 

1. Start Affiliate Marketing On Amazon 

Amazon affiliate program ya amazon associates sirf part time job nahi hai, ye ek full-time job hai jisko aap apni collage study ke dauran as a part time start karke collage khatam hone ke baad kar sakte hai. 

Ye to aap jante hi honge ki aaj kal log online shopping karna bahot pasand karte hai. is liye aaj kal badi badi online shopping sites ke bich ek bahot bada cold competition laga hai, jaise ki amazon aur flipkart. to aapko iska fayda uthana chahiye, aur affiliate marketing karke paise earn karne chahiye. to chaliye jante hai amazon affiliate marketing se paise kaise kamate hai.  

How to Earn from Amazon Affiliate Program?

Amazon ke affiliate program se paise kamane ki process bahot simple hai. iske liye aapko ek micro blog banana hoga aur uspe jin products ko aap pasand karte ho unka review likhna start karna hota hai. phir blog ka sahi tarike se seo aur promotion karna padta hai. 

Uske baad aapke blog par bahot sare visitor aane lagenge, jo un products ko pasand karte honge. uske baad aap amazon associates program ko join kare aur apne products ke review ke sath apni affiliate links ko samil kare. 

Us link se jo bhi shopping karega, uspe nirdharit commission aapko amazon se mil jayega. amazon apna payment bank account se karta hai.  

2. Write Book For Kindle

Agar aap likhna pasand karte hai, to ye method aapke liye best hai. agar aap online book padhne ke saukin hai to aapne kindle ka naam to suna hi hoga. kindle bahot bada ebook selling platform hai. 

Agar aap book likh ke sell karna chahte hai to amazon kindle aapki bahot madad kar sakta hai. aapko bas digital ebook taiyar karni hai aur use amazon par sell karne ke rakhni hai. 

Yadi aapka content achchha hai to aap ki book kindle par bahot asani se sell hone lagegi, kyunki ispe padhne wale bahot hai. isse aap bahot lambe samay tak passive income generate kar sakte ho. 

3. Freelance Writing

Freelance Writing un students ke liye liye sabse best online earning job hai, jinki writing skill aur grammar achhi hai. aur un logo ke liye bhi jo bahot kuch research karte hai. isko karne ke liye aapko keval computer aur internet ki hi aavshyakta hogi.

Student hone ke naate, aap bahot sare writing jobs alag alag freelancing sites se khoj sakte hai. jyadatar writing jobs article likhna, blog ke liye post likhna aur web pages ke liye content likhna aise hote hai. isme aapko di gayi nirdharit deadline se pahle article likhne hote hai. 

Aam taur par, writing jobs pay per word, article ya project par adharit ya likhne ke samay par payment karti hai. agar aap freelancing writing jobs karna chahte hai to niche di gayi sites pe aapko ye kaam aasani se mil jayega. 

PeoplePerHour

Guru

Upwork

Online Writing Jobs

Textbroker

Break Studios

WritersDomain

WiseGEEK.com

4. Data Entry Jobs

Data Entry ek bahot saral kaam hai jisko student ek computer aur apni fast aur accurate typing skill se asani se kar sakte hai. aam taur par data entry job me clients ke liye aapko tezi se aur accurately data type karna hota hai. bahot sare students apne part time job ki tarat data entry karke paise kamate hai. 

Data Entry se related jobs ko find karne ke liye niche di gayi sites aapki help karengi : 

Sigtrack

Clickworker

The Smart Crowd

Guru

People Per Hour

Freelancer.com

5. Online Survey

Online Survey karke earning karna bahot asan hai, isko karke students asani se paise kama sakte hai. Internet par bahot sari aisi websites hai jo aapko simple se forms ko complete submit karne par payment deti hai. 

Agar aap apne free time me extra earning karna chahte hai to aisi sabhi sites ko join kar le. aur apna profile complete kar de. uske baad aapko is sites se samay samay par alag alag survey diye jayenge. usko karne par aapko payment milta hai. 

Online Survey karne ki kuch behtareen websites ki list :

Toluna

Swagbucks

Cash Crate

Global Test Market 

6. Earn Money From Youtube

India me youtube bahot badi sankhya me log videos dekhne ke liye karte hai. agar aap student hai to youtube channel banake earning karna aapke liye ek best option hai. 

Youtube par earning karne ke liye aapko thoda bahot video editing ka gyan hona bahot jaroori hai. aapko apne interest ke hisab se channel banana chahiye aur uspe useful videos banake post karne honge. 

Aapke channel ko grow hone me thoda bahot samay lag sakta hai, par jab aapke channel pe visitor aane start honge to aap isse bahot earing kar sakte ho.

Youtube se earning karne ke bahot se tarike hai, jaise ke adsense, affiliate marketing, sponsor ship etc.. 

7. Start Blogging

Blogging student ke liye extra income kamane ke liye ek bahut achha tarika hai. agar aapki koi hobby hai to aapko uspe content likhna start karke blog bana sakte hai. jaise ki cricket, tech, lifestyle,etc..

Iske alawa, agar aap padhte hai wahan par aapke pass kisi vishay par adhik knowledge hai to uspe blog post likhke aap apne dosto ke sath share kar ke ye kaam kar sakte hai. 

Matlab aap kisi bhi topic par interested hai uspe blog banake as a part time blogging start kare. jaise jaise aapke blog par traffic aane lagegi vaise vaise aapko isse paise kamane ke bahot sare option mil jayenge. 

Blogging se paise kamane ke bahot sare tarike hai, jaise ki adsense, affiliate marketing, paid review, local advertiser,etc.

8. Website Testing Jobs

Kai website ke owners apni website ko test karne ke aur uspe user ka experience kaisa hai usko janne ke ke liye website ko test karne ke liye dete hai. aur uspe feedbacks mangwate hai ki website ka user experience kaisa hai. 

Ye test lagbhag 10 se 20 minutes ka hota hai. agar aap ye job karte hai to aap ek website ko test karne ke liye $10 se $20 tak aasani se kama sakte ho. 

Ye job karne ke liye aapke pass ek microphone aur webcam hona chahiye. kuch reputable website testing sites jo pay karti hai unki list : 

Userlytics.com

YouEye.com

UserTesting.com

9. Sell On Facebook Marketplace

Agar aap facebook istemal karte hai to aap iske marketplace feature se as a student earning kar sakte ho. facebook marketplace specially local sell aur buy karne ke liye banaya gaya hai. 

Facebook marketplace par aap apni purani kitaben, cloths, bikes, etc chizon ke sell karne ke liye rakh sakte hai. 

Agar aapke pass koi chiz sell karne ke liye nahi hai to aapko reseller websites aur apps ke jariye bahot si chizen mil jayengi sell karne ke liye. 

Aapko bas chizon ke photos aur thoda bahot description likhna hota hai aur marketplace par post ki tarah submit karna hota hai. sell karne ke liye ispe aapko apna whatsapp number ya messaging karne ke liye bahot sare options mil jayenge. 

10. Do Micro Jobs Online

Micro Jobs karke paise earn karna baki sabhi tariko se bahot asan hai, isko aap apne free time me karke earning kar sakte ho. 

Isme aapko kuch simple se tasks karne hote hai, jinke liye aapke pass kisi spacial skills ki jaroorat nahi hai, bas aap apne computer aur internet se ye kaam kar sakte ho. 

Micro jobs me aapko social media pe likes karna, blogs pe comment karna, ads post karna, youtube pe subscribe karna aur choti moti blog post likhne jaise simple tasks complete karne ke task diye jate hai. har ek task ke liye alag alag prise hoti hai, wo uske pure karne me lagne wale samay par nirdharit hoti hai. 

Conclusion

Students ke liye online part time job karke paise kamane ye to sirf kuch chune huye tarike hai. agar aap extra passive income earn karna chahte hai to online bahot sare vikalp aapke liye maujud hai. jisse aap bahot sari income generate kar sakte ho.

Thanks For Reading 10 Best Online Jobs For Students in India Without Investment. Please Check New Updates On Pro Blog Hindi For Learn Blogging, SEO And Make Money Online.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*