मोबाइल से पैसे कैसे कमाए

अपने स्मार्ट फोन से पैसे कैसे कमाए पूरी जानकारी हिन्दी मे – Aaj kal har kisi pass android smart phone hona koi badi baat nahi hai, kyunki android phones aapko aapki price range me asani se mil jata hai. aur pahle ke mukable ab internet ki speed bahut better hai aur internet sasta bhi ho gaya. sayad hi aisa koi hoga jiske pass android phone ho aur wo internet ka recharge na karta ho.

android mobile se paise kaise kamaye, smartphone se paise kaise kamaye, android mobile se paise kamane ke tarike, make money online with android phone in hindi

Android phone pe ham jyadatart whatsapp, facebook, download aur youtube videos dekhne me internet ka use karte hai. lekin agar ham apne phone aur internet ka thoda bahut sahi istemal karen to ham apne internet ka kharcha aur thoda bahut pocket money bhi earn kar sakte hai.

Smartphone से पैसे कैसे कमाए – मोबाइल से पैसे कमाने का तरीका

1. Use PhonePe Wallet And Get 75 Rs. Per Invite

android mobile se paise kaise kamaye, smartphone se paise kaise kamaye, android mobile se paise kamane ke tarike, make money online with android phone in hindi

Phone Pe ek online upi based wallet hai, jispe aap mobile, dth, electricity, travel ya kisi anya tarike ka bill asani se pay kar sakte hai. is wallet pe bahut sare offers chalte rahte hai, jisse aapko cashback bhi bahut acha milta hai.

Phone Pe App pe ek simple feature hai, jiska naam hai Invite and Earn. is feature ki help se aap bas kuch steps ko follow karke aap apne liye 75 Rs + 75 Rs. jisko aap invite karte hai uske liye earn kar sakte hai. 

PhonePe App Se 75.Rs Kaise Kamaye Step By Step Guide 

Step 1 : Sabse pahle yahan di gayi link se PhonePe App install karen. – Download PhonePe App. 

Note : Agar aap upar di gayi link ke bina direct aap install karte hai, to aapko 75 Rs. nahi milega.

Step 2 : Next PhonePe App open karke apne mobile number se register karen.

Step 3 : PhonePe par register complete hone ke baad apne bank account ko phone pe app se connect karen. 

Step 4 : Ab apne kisi friend ki upi id pe kuch 5 ya 10 rs ka first transition karen.

Step 5 : Transition karne par aapko 75 Rs. mil jayega. ab bari hai friends ko invite karne ki.

Step 6 : My Account me jakar ke Invite And Earn par click karen. 

Step 7 : Invite And Earn section me aapko aapki referral link milegi. aur niche facebook, whatsapp ya kisi aur tarah se send karne ke sare options milenge. 

Step 8 : Bas aapko wo link send kar deni hai aur phir Step 1 Se Step 7 ki process ko repeat karna hai.

2. Do Online Survey

android mobile se paise kaise kamaye, smartphone se paise kaise kamaye, android mobile se paise kamane ke tarike, make money online with android phone in hindi

Online Survey complete karke paisa kamana internet se paise kamane ka ka sabse purana aur simple tarika mana jata hai.

Play store pe bahut sare aise survey apps hai, jo aapko simple survey provide karte hai. aur unkle complete hone par rewards dete hai. kuch aapko paypal cash, paytm cash aur kuch gift card provide karte hai.

Online Survey work me koi jyada work nahi hota, bas aapko apps ko install karke apne phone me register karke apna profile complete karna hota hai. uske baad aapke liye jab bhi koi new survey hoga, uska notification aapko mil jayega. 

Survey me aapko bus kuch simple questions ke jawab dene hote hai, survey kis price ka hai us par sawalon ki sankhya nirdharit hoti hai.

Best Online Survey Apps For Make Money Online With Android Phone :

 1. Google Opinion Rewards

 2. SwagBucks

3. Sell Old Stuff Online

android mobile se paise kaise kamaye, smartphone se paise kaise kamaye, android mobile se paise kamane ke tarike, make money online with android phone in hindi

Hamare ghar par bahut sari aisi cheez padi rahti hai, jo jyada purani hone ke karan ya kisi aur karan unka use nahi hota. aisi chizon ko aap online sell karke paise bana sakte ho.

Online bahut sari websites aur apps hain jo un chizon ko sell karne ka aap ka kaam asaan bana dete hai. jaise ki quicker, olx etc..

Old stuff ko sell karne ke liye aap in apps me se kisi ek do apps ko install kar le. aur apne old stuff ki photos, detail aur price share kar de.  

4. Play Quiz And Win Money

android mobile se paise kaise kamaye, smartphone se paise kaise kamaye, android mobile se paise kamane ke tarike, make money online with android phone in hindi

Online bahut sare app hai, jo apna promotion karne ke liye online live quiz show chalate rahte hai. aapne youtube me kai videos me dekha hoga, ki kai youtuber aise apps ko promote karte nazar aayenge.

Online Quiz show me aapko nirdharit samay par live quiz me participate karna hota hai, aur unke bataye gaye questions ka sahi answer dena hota hai.

Sabhi sawalo ke sahi jawab dene par aapko us app ki taraf se kuch rewards diya jata hai, jisko aap apne paytm wallet ke dwara nikal sakte hai.

Aise aap find karne ke liye aap play store par make money with online quiz search karenge to aapko bahut sare apps mil jayenge.

5.. Use Recharge App And Get Cashback

Paisa bachana bhi to ek jaat ka paisa kamana hota hai. aap jab recharge karvate ho tab aapko pura paisa dena hota hai, lekin agar aap cashback dene wale recharge apps se khud recharge karte ho, tab aapko aapke recharge par cashback milta hai, jiska use aap next recharge ya kisi friends ke recharge ke liye kar sakte ho.

Online cashback dene wale bahut sare wallet hai, jinse aap recharge pe cashback asani se prapt kar sakte hai. jaise ki paytm, phonepe, freecharge, amazon etc..

Man lo agar aapki family me 5 log smartphone ya mobile use karte hai, aur aapka month ka mobile balance ka kharcha 1000 Rs. hota hai. jab aap bahar se recharge karvate hai to aapko pura paisa dena hota hai, aur agar aap ke bahar hai to aapko recharge milne me bhi kabhi kabhi dikaat aa sakti hai. agar aapke phone me ek recharge wallet app hai to aap kisi bhi time recharge kar sakte ho aur cashback bhi pa sakte ho.

Iske alawa ye sabhi recharge apps aapko aur bhi kai feature dete hai, jaise ki electricity ka bill pay karna, bank account se paise transfer karna, travel booking karna etc… to aap in apps ka use karke apna time aur paisa do no save kar sakte ho. electricity ka bill jo log bharne jate hai, unko to pata hi hoga ki kitni badi lines hoti hai, jisme khada rahna kisi ko pasand nahi. so aap electricity bill in apps se bhar ke lambi lines se chhutkara pane ke sath thoda bahut cashback bhi paa sakte hai.

6. Make Short Video And Get Rewards 

android mobile se paise kaise kamaye, smartphone se paise kaise kamaye, android mobile se paise kamane ke tarike, make money online with android phone in hindi

India me aise apps bahot populer ho rahe hain, jinpe log short videos share karte hai aur unko viewers bhi bahut sare mil jate hai.

Sabse jyada populer app hai, Music.ly. is aap pe kai tarah ke log apne videos dalte hai, aur apne telent se logo ko apna follower bana lete hai.

So agar aapko bhi aise short videos banane ke shauk hai to aap bhi in apps pe videos post karke populer banne ke sath paise bhi kama sakte ho.

Short videos me funny videos, music videos, sport video, gaming videos, magic videos ya kisi aur telent ka video ko shamil kiya jata hai. 

Short Video wale apps aapko youtube ki tarah direct koi payment nahi dete hai, lekin in apps pe bahut sare contest chalte rehte hai. aapko un contest ke hisab se videos post karne hai, unke bataye hue #hashtag ke sath. har contest ka prise money alag hota hai.

Most Popular Short Video Apps For Make Money :

1. Music,ly

2. Like App

3. Hypstar

Android Mobile Se Paise Kaise Kamaye – 6 Aasan Tarike in Hindi is article ko pura dhyan se padhne ke liye aap ka dhanyawad. blogging, seo and tech se releted koi bhi questions aap comments me puch sakte hai. aasha karta hun ki probloghindi ki anya post ki tarah ye post bhi aapke liye helpful sabit hogi.

Be the first to comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.


*